Breaking News

padhai karne ke sahi tarike I kam samay me jyada padhai kaise karen I how to more study in less time I padhai krane ki Tips & Tricks

 Padhne Ke Mool Mantra 2022

 

 

 

Hello Guys...

Hum is Blog me aapko bataayege ki kam samay me aapko jyada padhai kaise karni hai,,

jaisa ki aap log bhi achhe se jaante honge ki jitne bhi toppers hote hain  wo sabhi bahot hi tips or tricks ke sath me padhai karte hain or apne exams ( field ) me ek achhi rank hasil karte hain to hum aaj ki iv video me aapko wahi sab tips or tricks batayege jisse aap bhi kam samay me jyada padhai karke apne kisii bhi exam ko bahot achhi rank ke sath pass kar sakte ho,,

To Chalo Start Karte hain...

Guys Hum Aapko 5 Tips or Tricks Batayege -  

 

 1. Padhne ka Ek Shant Samay Banaao 

 

guys jaisa hum jante hai ki padhai karne ka matlab hai ki khud ko koi napasnd bala kaam karbana kyoki padhai har kisii ko ek bojh jaisi lagti hai, isiliye padhne ke liye hume ek shant jagah or shant samay ki zarurt hoti hai jisse ki humara diamag idhar udhar na jaaye or hum shant baith kar jitna samay hai utna padhaai ko de sake,

 

2. Books or Subjects Ko Apni Pasand Ke Hisaab Se Set Karna 


guys jab bhi hum padhte hain to hum kabhi bhi koi bhi book leke baith jate hain ye galat hai, hume aisa nahi karnaa chahiye hume sabhi books or subjects ko apni samajh or pasand ke hisaab se number wise rakhnaa chahiye aao me aapko batata hu, jaise aapko history padhna bahot pasnd hai or economy padhna pasnd nahi hai to aapko ye karnaa hai ki jab aap padhne baithoge to frsh mind me sabse pahle aapko economy padhni hai uske baad history kyoki economy ko jab aap fresh mind se padhoge to wo aapko samajh me aayegi lekin agar aap use last me padhoge to tab tak aapka mind or subject padhke thak chuka hoga or fir aapka napasnd subject dekh kar dimaag or thak jaayega,,


3. Chhote Chhote Targets Banaao 

 

guys jab bhi aap koi bhi book ya subjec leke baitho to uske Chhote Chhote Targets Banaalo isse aapko Bahot Fayda hoga aapko jab pataa hoga ki itna padh chuka hu or itna padhne ko baaki hai to aapko padhne me majaa bhi aayega or padhne me man bhi lagegaa jaise ki me batata hu , aapke history ki book Li ab aap iske chapters ke targets banaalo ki aaj ye chapter padhna hai kal wo padhna hai parso uske baad bala padhna hai fir saare padhne ke baad revision krna hai usme itna time revision krna hai is tarah se,,

 

4. Books Convert To Notes Forms

 

guys jab baat aati hai notes ki to aap sabhi dar jaate ho are! ye kya babaal hai lekin me aapko bataadu notes ek esha rasta hai jo sidha aapko saflta tak leke jata hai, isliye aapko apni puri ko ek chhote se notes me convert karlo or usi ko baar baar revision karo apne exams tak notes kaise banaaye iske liye mene apne youtube channel technical abhishek babu par bataya hua hai use dekh lo notes banaane ke baad padhnaa bahot hi aasan ho jata hai,,


5. Imagine Krke Padho Aassan Bhasha Mai


guys jab bhi aap kuch bhi padhne baitho to usko apni bhasha me padho jo aap roj bolte ho or jo aapko aasaani se samajh aati hai or imagine krke padha karo jaise ki aap koi movei ki story padh rahe ho us tarah imagine kiya karo,,

 

Thank You For Reading

 

Post a Comment

0 Comments